SAI KRITI | SAI KRITHI | Sai Kriti by SAXSENA BANDHUs
Ho mati heen vineet nahi
Bhakti ki riti na jaani |
Kar jode vandan karu
Deyu aashish tum aani ||
Nij padasta tum hi kar leenha
Apno hi haath ker kamlo mein leen|
Jako na anth na janan hara
Swayam kahe aaj sai humara
1.Shirdi aagman huo tumharo
Mahalasapati sai naam uccharo|
2. Tu anant tori katha ananta
Bin teri krupa kah saku na santa
3. Gehu chakkiyan maa peesat Sai
Dushkarmen phal bach nhi paahi
4. Shirdi nagar aate se bandhao
Mahamari se bhaktan ko bachao
5. Buddhi vilakshan dekhi sainath
Naam Hemadpant pave dasa
6. Vako anugrah sweekar jo keenha
Poorn Sai Sat Charita tu keenha
7. Aan base jake mann mahi
Jage noor taaki chavi mahi
8. Bhagya bade jin sharan yeh payi
Un te adhik na kouo suhai
9. Tumhari katha kya koi sunave
Jo tero bane tujhko pave
10. Jin bhaktan ko teri aasa
Tere un daso ka mein dasa
11. Jinke hriday basay sainatha
Kouo amangal dhing nahi aata
12. Baba tum toh dhaam karuna ke
Tumhi harat daarun dukh jag ke
13. Ho jo adham kutil aur kaami
Khevat jaani taro mohey swami
14. Roop sahastra Sai dhari aaye
Jit dehko tit tumhi samaye
15. jinke hriday basay tum baba
Unko koi dukh dard na vyapaa
16. Jas lobhi ko dhan nahi bisrahi
Aesi hi dasha tum hum kahi karhi
17. Janam safal bhayo aajhu mora
Krupa paayi gun likhvahu tora
18. Daras tumharo ek baar jo pave
Lakh chorasi uski kat jaave
19. Shirdi gaon ko bani rakhvaro
Neem talay nij dera daaro
20. Kaka ki bhakti pahichano
Swayam hi vitthal roop dikhavo
21.Ram Krishna dono tumhi ho
Shiv hanumanth prabhu tumhi ho
22. Dattatreya avatar tumhi ho
Peer paygambar rahman tumhi ho
23. Nanake roop dhari tum aaye
Sachcha souda kar dikhlaye
24. Sai charnan mahu teerath saare
Vismit hoye Ganu neer bahaye
25. Gouli bua ne Vitthal paayi
Shirdi hi Pandharpur kahlayi
26. Te nar andhkaar hai Sai
Jin yeh paduka nahi payi
27.Paani sang yo deep jalaye
Bhaktan bheed umarati aaye
28.Dristi tumhari koyu oonch na neecha
Shirdipuri ko prem se seecha
29.Guru mahima tune khoob batayi
Swayam shishya bhaye riti batayi
30.Hindu muslim sab hi milaye
Ram navmi aur Urs banaye
31.Sai Sai sprem uccharo
Jap tap saadhan sabhi bisaro
32.Jo tori sharangat hua data
Anna dhan vastra aajivan pata
33.Sairam Sairam jabhi pukara
Rome rome pulkit humara
34.Sai dete kodhiyan ko kaya
Bhagoji ko bhi apnaya
35.Tum nar roop mein aese aaye
Jhuthe phal Sabri ke khaye
36. Tumne peer sahi bhaktan ki
Aur badhi aastha nij jan ki
37.Koyu na jaan sakat yah maya
Kehi kaaran yeh vesh banaya
38. Balak ek bachavan nyayi
Dhuni mein haath daar diya Sai
39. Koyu kari sakat nahi chaturai
Sabko malik ek batayi
40. Mamta kit um murat Baba
Har balak ek chaav hai pata
41. Sab jag ne jako thukraya
Tako tune sahaj apnaya
42. Bade bhagya manush tan pava
Aur uss par tum so anuraga
43. Mujhso bado koun barbhagi
Basat rahi ur chavi anuragi
44. Nahi saman tumsa koyu deva
Sweekaro avilamb yeh seva
45. Jab tori preet badat hai Sai
Jag mahi kachu sujhat nahi
46. Dwar dwar tune bhiskha mangi
Daan ko arth sikhawan lagi
48.Tumhari avagya kari jin deva
Yatra maa dukh payo aneka
49. Harshit chit Sai bhet mangaave
Nij bhaktan ko peda khaave
50. Sai Sai rat rasna lagi
Panch chor phirhi bhaya bhagi
51. Aavagaman so mukt kar dinha
Tujh ko hiya jinh dharan kinha
52. Pralaya kaal ko rok lagayo
Bhakto ko bhaya mukt karayo
53. Shirdi mein jo jhanjhawat aayo
Ek hi garaj mein shant karayo
54. Bahut deviyan Shirdi mayi
Nahi prakati nahi bhai shahayi
55. Sai tumhari adbut leela
Jar chetan nabh bhaa anukula
56. Dhuni ki lapat prachand bhai tabh hi
Satke prahaar so shant hue tabh hi
57. Jag taran hi prakat bhaye Sai
Dusht janan so preeti dikhayi
58. Joi jis bhaav se tujhko dhyaava
Usko vaiso hi roop dikhava
59. Agnihotri Shastri jo aaya
Apne guru ko darshan paya
60. Sado roop banayo aeso
Jinh dekhe lage apne jaiso
61. Swapan hi ma shaya rog bhagayo
Bhima hriday paashaan ghumaayo
62. Bhima ji nij gaav jo aayo
Sai satya vrata nayo chalayo
63. Jo nar pag dhare Shirdi Dhaam
Sambhav hove asambhav kama
64. Sai tumharo dwar hai alha
Jo chaha sambhav kar dala
65. Dekha bhakti ka dhang nirala
Shakkarmaya mila chai ka pyala
66. Tumhare sanmukh bhakt jo aata
Brahmagyana vo sahaj hi pata
67. Dhanya dhanya vo dharti mata
Avtaare jahan Sainatha
68. Tune shramik ko di majdoori
Chaakar jani do shradha saburi
69. Subh karman phal udit bha mora
Jo yeh durlabh dhaam lakhi tora
70. Jako tohi per dradh vishwaas
Unhi pai apni abhilasha
71.Tumhre charan param sukhdayi
Shravan kari shraddha upjayi
72. Jo karhi inn charnan seva
Payihi shraddha saburiko meva
73. Prem tumhara kachuvi nai
Hum balak tum hamri mai
74. Jo jan tumhri ore nihari
Tum bhi unhi ore nihari
75.Tum rahe dhyaan ko marm batavat
Marg bhakti ati saral karavat
76. Ho murakh khal nipat gavanri
Kaise gun kah sakhu tumhari
77.Tum ho agam agochar natha
Jaan sakhu na tumhri gatha
78. Yo to sab devan ko araadha
Tum samaan koyu mila na daata
79.Tum ko koti koti pranama
Tript hoyu payo vishrama
80 bhakti ki riti surabh kar dinhi
Navdha bhakti ki dakhina dinhi
81 tin maangat rahi dwarka mai
Bhaktan hetu dhuni sai jaalayi
82 ja par krupa karhi sai natha
Sarpkaal se mukti pata
83 pancham sabd se vish utaryo
Sarpdansh se shayama bachayo
84 yog shastra ko aayo jo gyata
Mann mien shanseykar pachtata
85 asam samarpit jab hi karhi
mann yogi bhao jaanhu tabhi
86 bali hetu tune astra mangaya
sabak ahinsa ka sikhlaya
87 sanka nivarana hetu jo aata
samadhan vo turant hi pata
88 kashi ram vyavasaaye se aavat
baba sanmukh sab dhan bhikravat
89 baba ek chavanni lekar
Sara dhan vapis lautavat
90 bhaut dino bite jag yuhi
kashi ram mann hi mann souchi
91. mero dhan oran mein batayi
Isme inki kavan badhayi
92.Antaryami baba ne phir
Lini uski sakal kamayi
93.Nirdan Bhayo jab kasha bhai
Chaturayi kuchu kaam na aayi
94.sagar day ake sai ji ne
Barsha dhan ki phir barsayi
95. kaun hai data kaun bhikari
Usko saari samaj hai aayi
96. kabhi krodhit ho patake satka
Harshit ho vinod kare sabkas
97. sab jaanat ho tum tripurari
Honi taali bhav dukh nivari
98.brij gopian sang raas rachayi
Sigma dino puran poli khilayi
99. karuna sindhu tum, main hu abhaaga
Nij swarth tohe bhajane laaga
100. Lakhi swarth nahi tajiyo natha
Hum ho bhikari tum ho mere data
101. dhoop gaon se chand bhai aata
Ghodi ki khoj mein kuch uljha sa
102. patra krupa chuni chand pukara
Ghodi mili, bano das tumara
103. jo bhi tumari stuti Gaaye
Bin maange sab kuch paa jaaye
104. tum udaar aaru par upkaari
Sampatti dinhi aaru shok nivaari
105. ramdasi ek hati tha sai
Shayma hetu tit pothi churai
106. dravit hue lakhi Bhakt ki pida
Apne haath se karte seva
107.megha ka bhrama dur tu kinha
Shiv Shankar ka trishul dinha
108. bhaktan ke tum sada rahkvare
Dor se khichte Nij bathare
109. dhuni ke anal bhasma kari sula
Ta mein jal jaaye paap samula
110. Jinke hriday mein dradh vishwaas
Hasta ki rekha badli natha
111.Jyotish kundliya sab phikvayi
Sab grah tumse hi gatiyaa payi
112. Tumhri aas hriday jin mahi
Safal prariksha mein ho jayi
113. Bhajan mandali ek Shirdi aayi
Dhan ko upaarjan lakshya tho Sai
114. Bhakti bhaav hiya nari aayi
Sita pati lakhi nachi mayi
115.Nar bharmayo puchat Sai
Paap jala do tun ki nai
116. Namaskar jab puni puni karhi
Aastha bhed batayo tabhi
117. Yeahi jivan charnan na pakharu
Toh yah jivan vyarath hua janu
118.Mujh paapi ko tum hi taro
Jani ajaalmal mohe ubaro
119. Tumhre ek vaishistya yeh Sai
Paap karm phal jale tuna nai
120. Sai bhakti mukti ka dwara
Katehi bandh baghiyan ko tara
121. Vrat upwaas kachu kaam na aave
Keval Sai Sai prabhuhi milave
122. Jis ghar tum ho aan viraje
Uss se vipda door hi bhage
123. Sanjivani saman udi tumhari
Dharan kare hare dukh sagri
124. Jo koi tumhe sprem pukare
Pawan veg sam aan padhare
125. Ghoda gadi Jamner layo
Apne karam ko hi roop dikhao
126. Maina ke ghar pragate Sai
Sut payo maina harshai
127. Wo tode priya Sai param snehi
Nij nayanan chavi nirkhat teri
128. Shyama bhaiyahu ko rog bhagayo
Aastha so hi jevan payo
129. Kar jore kah Shayma more Sai
Yeh tori leela samajh na aayi
130. Pratham hume bhayabheet karai
Tatshan bhaya so mukt karai
131 Mumbai shaher se mahila aayi
Pida prasav se mukti payi
132 asahaye hoyi nasoor ki pida
Pillai ji bhayo ati adhir
133 kaka se sandesh jo payo
Apne vachan ko yaad karayo
134 shalya chikitsak banker aayo
Abdul ko pag kaag banayo
135 riti nidaan jalag tori sai
Dar janam phal kate shan mai
136 joi jis bhav sidi tharta
Vaise hi roop mien sai milta
137 baba tumghat ghat mein samaye
Beej rahit phal thakker paaye
138 jas mora haath thaam tum leeha
Sabhi ko saral bana do jina
139 joi joi maangat soi soi paata
Chamatkar har pal dikhlata
140 bahut hai tumharo naam sai baba
Hamri bhi suniyo jivan gaatha
144 paalki yu bhakton ne sajayi
Baba ki baraat jo aayi
142 chilam ko kar kamlo se sajaya
Bansi jo mohan ne bajaya
143 ghyarah vachan nibhavan tai
Samadhi mandir di banvayi
144 tum toh ho bhramand ke nayak
Dukh harta sab bhanti sahayak
145 jo hi sarita mili sagar mahi
Tohi sab dharma tomien samahi
146 sab granth tomein saar samaya
Gyaneshwari ka path padaya
147 rin baijeya mai ko kinha
Tatya ko tum jivan dinha
148 tum miein hai bhramand samaya
Adbhut hai yeh teri maaya
149 aesi Samadhi tune lagayi
Tujhsa koi nahi mere sai
150 rakhsa hetu jab tumhe pukaara
Saat samandar paar padhara
151 veer chainab mein ber samayo
Sarp mainduck ki yoni paayo
152 sanrakhsak sai pita aayo
Dono ko mat bhed mitayo
153 tumari mahima tum hi jaano
Anubhava karo satya pahichano
154 haan apradha karat nit jauo
Upkari tum chit na dharayo
155 jin tere vachan sune dhar dhira
Unki hari tumhi ne pida
156 tere daras ki pyaas nayan ko
Darsh dikha shital kar hiyo ko
157 jo dhare dhyan aaro tumhe pukaare
Bhandhu sakh sab uske tare
158 ek hi araj karu sai natha
Deu aashish nahi chute hi naata
159 ye teri kriti sanjeevni samana
Jivan daan mile suni ghar dhyana
160 nitya padhi jinha hi rak
Mangal bheye amangal bhagi
161 binu karan kripalu bhae sai
bhandhu nithya sai kriti dhayai
BABA tum sarvagya ho aru
Sarvyapi hai tumharo swabhaav
Yehi jaanat deva nahi bishrahu
Kabhi Shraddha saburi ko prabhav
|| Om Anantkoti Brahmandnayak Rajadhiraj Yogiraj Parbrahm
Shri Satchidananda Sadguru Sainath Maharaj Ki Jai ||
|| Eti Shri Sai Nath Kriti Sampoorna ||